Laptop me Whatsapp kaise Chalaye | Andriod Apps ko Laptop Me kaise Chalaye | Laptop me Mobile Apps kaise Chalaye| - Rockpcinfo

Laptop me Whatsapp kaise Chalaye | Andriod Apps ko Laptop Me kaise Chalaye | Laptop me Mobile Apps kaise Chalaye|

Hello Friends mai Ajay ek baar firse aapka swagat karta hu RockPcInfo me. Dosto aapne laptop se call karte, laptop se mail padhte huye to sabhi ko dekha hoga lekin laptop se whatsapp use karne baale log bahut kam hi aapko dikhe honge kyuki aap sirf QR Code scan karke hi Whatsapp chala sakte ho but chalo whatsapp tak ka to thik hai lekin agar mai baki ke andriod apps bhi chalana chahta hoon to iske liye mujhe kya karna hoga btata hu aajki Post me.

Laptop me Andriod Apps kaise Use Kare | Laptop me Whatsapp Use kare 




To dosto iske liye aapko kuch simple step follow karne honge.

STEP:-1

Sabse pahle to aapko ek Software BlueStack Download karna hoga jiska Link neeche diya huya hai


STEP:-2

Ab aap isko simply Install karle.

Windows 10 Ko kaise Activate Kare

STEP:-3 

Install karne ke baad aapko jab aap Bluestack ko Open karoge to aapko kuch is tarah ki screen dikhegi



Ab aap isme aaram se koi bhi Andriod app install kar skte hai playstore bhi chala sakta ek tarah se aapka virtual Mobile Ban gaya hai. to Dosto Ummid karta hoon aapko ye post pasand aayi hogi or agar aapko koi Doubt hai to Please neeche Comment Box me Comment kare Aur sath me apne Dosto ko jaroor share kare.
Thank You.